Pages

Ghazal - Wasi Shah

Apna Hissa shumaar krta tha 
woh mujh sy itna pyar krta tha 
woh bnata tha meri tasweerain 
phr in sy baateen hazar krta tha 
Mera dukh bhi khaloos-e-Niyat se
Apny dukhon mei Shumaar karta tha
Sch smjhta tha Jhoot bhi mera, 
Yun woh mera Aitbaar Karta tha, 
Jab bhi rota tha main raat ki Tanhaiyon mei
Wo apne hathon se mere chehry ko saf karta tha
Aaj sochta hon to aankhein beegh jati hain "Wasi"
Wo Shakhs mujh sy kitna pyar krta tha.







No comments:

Post a Comment