Pages

Showing posts with label yadeen. Show all posts
Showing posts with label yadeen. Show all posts

Ghazal


Udaas shaamon main loot kr woh aana bhool jata tha
Kr k Khafa mujh ko woh manaana bhool jata tha
Inhi khaslatoon ny us ki mujhy badnaam kr data
Woh likh k naam dewaaron pr mitana bhool jata tha
Mat poch muhabbat main la prwahi us ki
Dy k zakham woh marham lgana bhool jata tha
Kitna dil nasheen hota tha us ki yaad ka mnzr
Woh jb bhi yaad ata tha zamana bhool jata tha

Ghazal


Kuch yadeen hain un lamhoon ki
Jn lamhoon main hm sath rahy
Khushion bhray jazbaat rahy
Ek umr gzaari hy hm ny
Jahan rothy howay bhi hansty thy
Kuch kehty thy, kuch sunty thy
Hm roz subha jb milty thy
Tu sb k Chahry Khilty thy 
Pur-lutf woh mnzr hota tha
Sb mil kr baateen krty thy
Hm soch k kitna hansty thy
Woh goonj hamari hansi ki
Ab aik purani yaad bani
Yeh baateen hian un lamhoon ki
Jn lamhoon main hm sath rahy